Friday, June 13, 2008



Ban jaaoo'n ager tum si tumhai'n kaisa lagay ga...
Her pal mai'n rahoo'n tum say khafa kaisa lagay ga...
Parrhtay ho mujhay tum jo namaazo'n ki tarah say...
Ho jaaoo'n ager tum say qaza kaisa lagay ga...
Tum pyaar may khud ko kabhi mitaanay pay ho raazi...
Ban jaaey ager pyaar saza kaisa lagay ga....
Khud say bhi zyaada ho yaqee'n tum ko kisi per...
Woh shakhs hi day jaaey dagha kaisa lagay ga...
Tum aur kisi mehfil ka diya ban k jalo per...
Tanhaa'ee milay tum ko sila kaisa lagay ga...!

AB JO BICHREY HAIN TU AHSAAS HOWA HAI HUMKO
DARD KIA HOTA HAI,TENHAYE KESY KAHTEY HAIN
CHAARSU GOUNJTI RUSWAI KESY KAHTEY HAIN
AAB JO BICHREY HAIN TU AHSAAS HOWA HAI HUMKO
KOI LAAMHA HO TERI YAAD MAIN KHO JATEY HAIN
AAB TU KHOOD KO BHI MUYASSIR NAHI AA PAATEY
RAAT HO DIN HO TERY PIYAR MAIN HUM BAHTEY HAIN
DARD KIA HOTA HAI TENHAI KESY KAHTEY HAIN
AAB JO BICHREY HAIN TU AHSAAS HOWA HAI HUMKO
JO BHI GUM AAI USEY DIL PEY SAAHA KERTEY THEY
EK WO WAQT THA HUM MIL KEY RAHA KERTEY THEY
AB EKALEY HI ZAMANEY KEY SITAM SAHTEY HAIN
DARD KIA HOTA HAI TENHAI KESY KAHTEY HAIN
AAB JO BICHREY HAIN TU AHSAAS HOWA HAI HUMKO
HUM NEY KHOOD HI APEY RASTY MAIN BICHAYE KAANTEY
GHER MAIN PHOOL KI JAGA LAA KEY SAJAAI KAANTEY
ZAKHAM IS DIL MAI BAASAI HOWE KHOOD RAHTEY HAIN
DARD KIA HOTA HAI TENHAI KESY KAHTEY HAIN
AB JO BICHREY HAIN TU AHSAAS HOWA HAI HUMKO
YOUN TU DUNYA KI HAR EK CHEEZ HAASEE.N HOTI HAI
PIYAR SEY BARH KER MAGER KUCH BHI NAHI HOTI HAI
RASTA ROOK KEY HAR EK SEY YEHI KAHTEY HAIN
AAB JO BICHREY HAIN TU AHSAAS HOWA HAI HUMKO
DARD KIA HOTA HAI TENHAI KESY KAHTEY HAIN
CHAARSU GOUNJTI RUSWAI KESY KAHTEY HAIN
AB JO BICHREY HAIN TU...??!!



Suno aisa nahee'n kartay...
Jisay shaffaaf rakhna ho...
Usay maila nahee'n kartay...
Safar jis ka muqaddar ho...
Usay roka nahee'n kartay...
Jo mil kar khud say kho jaey...
Ussay ruswa nahee'n kartay...
Chalo tum raaz ho apna...
Tumhai'n afshaa nahee'n kartay...
Jo dhun ho kar guzarnay ki...
To phir saucha nahee'n kartay...
Tairi aankho'n ko parrhtay hain...
Tujhay daikha nahee'n kartay...
Seher say poochh lo mohsin...
K hum soya nahee'n kartay...!

Barra dushwaar hota hay..
Zraa sa faisla kerna...
K zindagi ki Kahaani ko...
Bayaan-e-bazabani ko...
Kahaa'n say yaad rakhna hay...

Kahaa'n say bhool jana hay...
Kisay kitna bataana hay...
Kis say kitna chhupaana hay...
Kahaa'n ha'ns ha'ns k rona hay...
Kahaa'n ro ro ka has'naa hay...
Kahaa'n awaaz daini hay...
Kahaa'n khaamosh rehna hay...
Kahaa'n rastaa badlna hay...
Kahaa'n say lout aana hay...
Barra dushwaar hota hay...
Zra sa fisala kerna....!!

zindagi ki raah mein jab bhi nikalti hai ghazal
har qadam pe ek naya pahlu badalti hai ghazal
aabgine bahr-e-dil se chunti hai alfaz ke
phir libaas-e-sher ke qalib mein dhalti hai ghazal
haadse taareekiyon mein runumaa hote hain jab
do qadam simte safar kuch aur chalti hai ghazal
shamma khud ha'ns ha'ns jalati hai agar parwano'n ko
raat bhar phir gham mein un ke kyon pighalti hai ghazal
maikash-e-kamzarf ke haathon mein sahba-e-sukhan
gar bahak jaae to mushkil se sa'nbhalti hai ghazal
khushnuma rangon ki sarim dekh lo ath'kheliyan
chedta hun titliyon ko par machalti hai ghazal

Us Ne Ek Baar Kaha Tha Mujh Se:
Tum Ye Kehtey Ho
Mujhey Fattah Kia Hai Tum Ne
Ger Mein Muftooha ILaaqa Hoon Tumhara
Tu Suno
Tum Bhi Muftooha ILaaqa Ho Mera
Fateh Tum Hi Nahi
Mein Bhi Hoon
Jab Kabhi Mujh Ko Samajhney Lago
Muftooha ILaaqa Apna
Yaad Rakhna
Mera Muftooha ILaaqa Ho Tum !
Us Ki Iss Baat Pe
Tab Se Ab Tak
Mein Apni Tareekh Tu Bhool Chuka Hoon Lekin !
Apna Geoghraphia
Ek Inch / Ek Mili Meter Tak
Mein Kisi Aur Ke Qabzey Mein Nahi De Sakta !
Mein Us Ki Baatoon Ko Faramoosh Nahi Kar Sakta !!
(To Be Selected From Aitbaar Sajid's Poetry Book "Mujhey Is Qadder Na Chaho" )

Meri Bhi Zeest Ka Chehra Nikhar Gaya Hota
Mera Bhi Kaash Muqadder Sanwar Gaya Hota
Mein Khaar Hoon To Terey Daman Se Lipta Hoon
Mein Phool Hota To Kab Ka Bikhar Gaya Hota
Jo Waqt Mujh Pe Guzarta Hai Subha Se Shaam Tak
Tujhey Sunata To Chehra Utar Gaya Hota !
Be Hissi Dekh Ker Mein Sochta Hoon Duniya Ki
Ke Kaash Mera Bhi Ahsaas Mar Gaya Hota !
Merey Salook Pe Khamoosh Reh Ke Tor Gaya
Woh Mujh Pe Koi To ILzaam Dhar Gaya Hota
Najaney Kitni Hi Aankhain Hain Muntazir Teri !
Kabhi To Lout Ker Ae Dost Ghar Gaya Hota

Sab Raastey Dushman Hoi Ashjaar Mukhalif
To Mera Howa Tu Hoi Yaar Mukhalif
Bunyad Rakhon Koi Tu Bunyad Hai Dushman
Dewaar Uthata Hoon Tu Dewaar Mukhalif
Hathoon Mein Utha Letey Auzaan Ke Pather
Suntey Hi Nahi Merey Ash-aar Mukhalif
Mein Ishq Ko Hamdard Samajh Betha Tha Yaroon
Lagtey Na They Is Behar Ke Aasar Mukhalif
Doon Jaan Tu Qurbani Samajhta Nahi Koi
Ger Thora Sambhalta Hoon Tu Ghar Baar Mukhalif
Is Shehar Ko Such Sunney Ki Adat Hi Nahi
Lagtey Hain Sab Ko Merey Afkaar Mukhalif
Sunntey They ke Bas Hotey Hain Aghyaar Mukhalif
Merey Tu Nikal Aai Hain Sab Yaar Mukhalif
Jo Baat Bhi Ho Dil Mein Chupata Nahi Farhat
Her Rooz Bana Leta Hoon Do Chaar Mukhalif
Mein Tu Kisi Qabil Hi Nahi Tum Ko Samajhta
Tum Merey Baney Phirtey Ho Bekar Mukhalif

Hum Loog Ghareebon Se Ulajhtey Nahi Farhat
Hum Loog Bana Letey Hain Sardar Mukhalif
(To Be Selected From Farhat Abbas Shah's Book "Ek Baar Kaho Tum Merey Ho" )